Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabo Mein Mile Jis Tarah Sukhe Huye phool Kitabon Mein Mile
Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Mile
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Mein Shaamil Kar Loon Nasha Bardhta Hai Sharabe Jo Sharabon Mein Mile
Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Mein Mile
Aaj Hum Dar Ye kheenchenge Jin Baton Par Kya Ajab Kal Wo Zamaane Ko Nasibon Mein Mile
Ab na wo main hu na tu hai na wo maazhi hai `Faraaz', Jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milen
Labels: Ahmed Faraz ,
milta hi nahi humse humara ban kar,
Koi milta hi nahi humse humara ban kar, Tum mile bhi to bahut door kinara ban kar,
Har ek ummid nigaahon se chhalak jaati hai, Unka har lafz aankhon se sharara ban kar,
Aur sab toot gayi cheezen khilono ki tarha, Ek yakeen saath mein rehta hai sahara ban kar,
Tum rahoge is chhoti si zameen tak mehfoos, Hum to chamkenge ek roaz sitaraa bann kar
Labels: Sad shayaries
Ro ro kar suja lete hum aankhein !!!
Ro ro kar suja lete hum aankhein Par socha meri mohabaat badnaam na ho jaaye Hans hans kar seh lete hum sare gham, Par socha ye uski befwaai ka inteqaam na ho jaaye.
Reh reh kar hum kar bhi chahte hain us se ruswaai Par socha kahin uska aitbaar na kho jaaye Doob jaate hum bhi uski yadoon mein, Par socha aankhon se uska intezaar na kho jaaye.
Soch soch kar lete hain saanse Socha dadhkane phir se tere pyaar mein bekaraar na ho jaaye Khud se hi kar lete hain hum guzarish, Socha kahin phir se tere hothon se inkaar na ho jaaye
Maikhane mein jaate hain khud ko bhool jaane ko Phir socha kahin teri tasveer jaam mein na ubhar jaaye Jab dekha hai tujhe har gham se bekhabar Phir socha teri aane wali khushiyon mein hum kahin bikhar na jaaye
Ban Na chahte the jo zindagi tumhari, Phir socha kahin teri zindagi ke naasoor na ban jaaye Ab sochte hain hum tujhse aisi mohabaat kar jaaye Apni bekhudi mein tujhe is kadar kar jaaye Tu pyaar karti rahe hume zindagi bhar, Aur hum teri baahon ke ghere me simatkar mar jaaye.
Kya haseen honge wo pal jab tu humko yaad kar jiya karegi Aur humari mohabaat ke fasaane ko kisi kahani mein likhegi Socha hum mar jaaye to tu tadpe humari yaad mein umar bhar Phir socha meri mohabaat mere sitmo ka fasana na ban jaaye.
Labels: Gazals, Short Shayaries
Ye Mojzaa bhi mohabbat kabhi dikhaai mujhe
Ye Mojzaa bhi mohabbat kabhi dikhaai mujhe Ke sang tujh pe gire, aur chot aai mujhe
Main apne paao tale raundta hoon saye ko Badan mera hi sahi dopahar na bhaai mujhe
Main ghar se teri tamanna pahen ke jab nikloo Barhana shahwr mein koi nazar na aai mujhe!
Wo mera dost hai saare jahaan koi hai maloom Dagha kare wo kisi se to sharm aai mujhe
Main apni zaat mein neelaam ho raha hoon "qateel" Gham-e-hayaat se keh do, khareed laai mujhe
Labels: Qateel Shifaai
Hai wo waqt -e- judaai ke tumhare aansoo !!!
Hai wo waqt -e- judaai ke tumhare aansoo Gir ke daaman pe bane the jo sitaare aansoo
Laal -o- gauhar ke khazaane hai ye saare aansoo Koi aankho se chura le na tumhare aansoo
Teri aankho mein agar ho, to Sitaare aansoo Meri aankho mein agar ho, to Bechare aansoo
Inko "nasir" na kabhi aankh se girne dena Un ko lagte hai meri aankh mein pyaare aansoo
Labels: Gazals
C haand se phool se ya meri zubaan se suniye- Nida Fazli
Chaand se phool se ya meri zubaan se suniye Har taraf aap ka kissa jahaan se suniye
Sab ko aata hai duniya ko sata kar jeena Zindagi kya mohabbat ki dua se suniye
Meri aawaaz parda mere chehre ka Main hoon Khamosh jahan mujhko wahaan se suniye
Kya zaroori hai ki har parda uthaaya jaaye Mere halaat apne apne makaan se suniye
Labels: Nida Fazli, Short Shayaries
Koi poochhe to kahe kya ki kidhar jaate hai -- Mirza Gaalib
Dard ke phool bhi khilte hai bikhar jaate hai, ZaKhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai,
Us dariche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi, Sar jhukaye huye chup chaap guzar jaate hai,
Raasta roke khaDi hai yahi ulajhan kab se, Koi poochhe to kahe kya ki kidhar jaate hai,
Naram awaaz bhali baatein mohazzab lahaje, Pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hai
Labels: Mirza Ghalib
Kahte hai mujhse ishq ka afsana chahiye !!!
Kahte hai mujhse ishq ka afsana chahiye Ruswaayi ho gayi tumhe sharmana chahiye
Khuddaar itni fitratein rinda na chahiye Jab shamma bujh gayi hai to parwana chahiye
Aashiq bagair husn-o-jawani fizul hai Tanhaayi mein bhi koi hume apnana chahiye
Aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaroor Warna mariz-e-ishq ko mar jana chahiye
Labels: Short Shayaries
khusbuon ki tarha meri har saans mein Pyaar apna basane ka wada karo
khusbuon ki tarha meri har saans mein Pyaar apna basane ka wada karo Rang jitne tumhari mohabbat ke hai Mere dil mein sajane ka wada karo
Hai tumhari wafaaon pe mujko yakeen Phir bhi dil chahta hai mere dil nasheen Youn hi meri tasalli ki khatir zara Mujhko apna banane ka wada karo
Jab mohabbat ka iqraar karte ho tum Dhadkano mein naya rang bharte ho tum Bahut kar chuke ho magar aaj phir Mujhko apna banane ka wada karo
Sirf lafzon se iqraar hota nahi Ek janib se hi pyaar hota nahi Main tumhe yaad rakhne ki khaaun Kasam tum mujko na bhulane ka wada Karo
Har gham ko yun dil se lagaya nahi karte !!!
Har gham ko yun dil se lagaya nahi karte har saaz e zindagi ko to bajaya nahi karte
Mausam badal raha hai ya kisi ka khayaal hai Bewaja to rang chehre pe aaya nahi karte
Seepi mein hi qaid chahe kyun na gohar ho ye log to kisi pe bhi rehem khaya nahi karte
Har aasmaa ki kismat to nahi sitaroon ki roshni Her raat ko to chaand chamkaya nahi karte
Yaqee o gumaan ke darmiyaa kahin mohabbat si reh gai ke yunhi to girte huye aansoo chupaya nahe karte
Labels: Sad shayaries
Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyon Hai !!!
Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyon Hai, Itna Darte Hai To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hai,
Main Jugnu Hoon, Diya Hoon Na Koi Taara Hoon, Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hai,
Neend Se Mera Taalluk Hi Nahi Barson Se, Khwaab Aa Aa Kar Meri Chhat Pe Tahelte Kyon Hai,
Mod Hota Hai Jawani Ke Sambhalne Ke Liye, Aur Sab Log Yahan Aa Ke Phisalte Kyon Hai
Labels: Short Shayaries
Tum Mita sakte nahi dil se mera Naam kabhi !!!
Apne Jhagron mein Zamane ki zarurat kya hai, Gair Ko Dard Sunane ki Zarurat kya hai,
Zindagi yun hi bahut Kam hai Mohabbat ke liye, Rooth kar waqt Gawane ki zarurat kya hai,
Tum Mita sakte nahi dil se mera Naam kabhi, To phir Kitabon se Mitane ki zarurat kya hai.
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte !!!
Na tujhe chhor sakte hain,tere ho bhi nahi sakte, Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte,
Ye kaisa dard hai pal pal hume tadpaaye rakhta hai, Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte,
Chupa sakte hai aur na dikha sakte hai logo ko, Kuch aise daag hai Dil par jo hum dho bhi nahi sakte,
Kaha to tha chhor denge Ye nazar phir ruk gayi lekin, Tumhe paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte,
Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab to, Jeeyen kaise ab ke tumse door ho bhi nahi sakte..!!!
Labels: Sad shayaries
Mera dil bhi shauq se toro
Mera dil bhi shauq se toro ek tajurba aur sahi, Lakh khilone toR chuke ho ek khilona aur sahi,
Raat hai Gham ki Aaj bujha do jalta hua har ek chiragh, Dil mein Andhera ho hi chuka hai ghar mein Andhera aur sahi,
Dam hai nikalta Ek Aashiq ka bheerh hai Aakar dekh to lo, Laakh Tamaashe dekhe honge ek nazara aur sahi,
Khanjar lekar sochte kya ho Qatl bhi kar Dalo, Dagh hain sau daaman pe tumhare ek izafa aur sahi...
Har pal tujhe yaad yeh dil karta to hai,
Har pal tujhe yaad yeh dil karta to hai, Teri khushi ki fariyaad yeh dil karta to hai,
Tumne to karli bewafaai humse fir bhi Tujhi se wafa yeh dil karta to hai,
Meri mohabbat ko tune kai ilzaam de diye, Fir bhi tujhe chaahne ki khata yeh dil karta to hai,
Todd ke wadaa tum chal diye, Fir bhi tera intzaar yeh dil karta to hai,
Ghum tujhe kabhi chhoo na paaye, Bus yehi dua yeh dil karta to hai,
Tere sare aansoo muhje mil jaaye, Yehi iltizaa yeh dil karta to hai ,
Dil ke badle dil ke anginat tukde mile hume, Toota hua hi sahi tere liye yeh dil dhadkata to hai,
Na mil saki mohabbat teri hume, Fir bhi tujh se mohabbat yeh dil karta to hai,
Tum to kar na sake iqraar-e-mohabbat, Lekin pyar ka izhaar yeh dil karta to hai,
Har modd per siwaye dagaa kuch na diya tumne, Fir bhi tere liye khuda se takraar yeh dil karta to hai...
Sare bazar mohhabat meri badnam ho rahi thi
Subah jab uthe to dekha sham ho rahi thi Har taraf charcha ek hi aam ho rahi thi
Diya ek phool bhi na maine magar Sare bazar mohhabat meri badnam ho rahi thi
Wada kiya tha usse na piunga kabhi umra bhar Ab gum mai unke har roz mahfile jaam ho rahi thi
Diwane pan ki had ye thi chaha tha maine usko itna Juban par naam uska tha or Pichhe raam naam ho rahi thi
Us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
Us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun Chahne us ko chala hoon jise paa bhi na sakun
Daal kar Khaak mere Khoon pe qaatil ne kaha Kuch yeh mehandi nahin meri ke mita bhi na sakun
Zabt kambakht ne aur aa ke gala ghontaa hai Ke use haal sunaaun to suna bhi na sakun
Us ke pahalu mein jo leja ke sula doon dil ko Neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakun
Naqsh-e-paa dekh to loon laakh karungaa sajade Sar mera arsh nahin hai ki jhuka bhi na sakun
Bewafaa likhte hain wo apni kalam se mujh ko Ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
Is tarah soye hain sar rakh ke mere shaano par Apani soyi hui qismat ko jaga bhi na sakun
Aankhon ko intezaar ka deke hunar chahla gaya !!!
Aankhon ko intezaar ka deke hunar chahla gaya Chaha tha ek shakhs ko jaane kidhar chala gaya
Din ki woh mehfile gayi raaton ke ratjage gaye Koi samet kar mere sham-o-saher chala gaya
Jhonka hai ek bahaar ka khayal -e-yaar bhi Har taraf bikhar gayi khushboo jidhar woh chala gaya
Uske hi dam se dil mein aaj dhoop bhi chaandni hai Deke woh apni yaado ke khajane chala gaya
Tanha tanha gumshum sa kab se bhatak raha hai dil Humko bhula ke raah woh apni dagar chala gaya
|