Collection of Gazals of Mirza Ghaalib Yahan aur Wahan
Shabb ke barq-e soz-e dil se zahra-e abr aab tha
Shola-e jwala har ek halqa-e girdaab thaa
Waan karam ko uzr-e barish thaa anaa'n geer khraam...
Girya sae yaan panba-e balish kaf-e sailaab thaa...
Waan khud aaraee ko tha moti pironay ka khayal...
Yaan hujoom-e ashk mayn, taar-e nigah nayab thaa...
Yaan sar-e pur shor bay khwabi say thaa deewa-re joo...
Waan woh farq-e naaz, mahw-e baalish-e kam khwab thaa...
Farsh say taa arsh, waan toofan thaa mauj-e rang kaa...
Yaan zameen sae aasman tak saukhtan ka baab thaa...
Mayn nay roka raat Ghalib ko wagarna daikhtay...
Us kay seel-e girya mayn gardoon kaf-e sailab thaa.
+----------+
Har ek baat pe kahte ho tum ki to kya hai
Tumhi kaho ke ye andaaz-e-guftaguu kya hai
ye rashk hai ki vo hota hai humsuKhan humase
varna Khauf-e-badaamozi-e-aduu kya hai
chipak rahaa hai badan par lahuu se pairaahan
hamaari jeb ko an haajat-e-rafuu kya hai
jala hia jism jahaN dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai
ragoon mein dauDate phirne ke ham nahin qaayal
jab aaNkh hii se na Tapaka to phir lahu kya hai
vo chiiz jiske liye hamko ho bahisht aziiz
sivaa_e baada-e-gulfaam-e-mushkbuu kya hai
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis ummid pe kahiye ke aarazu kya hai
banaa hai shah kaa musaahib, phire hai itarata
vagarna shahar mein "Ghalib" ki aabru kya hai
+----------+
ki wafa hum se to gair iss ko jafa kehte hain
Hoti aayi hai, ke acchon ko buraa kehte hain
Aaj hum apni pareshani-e khatir un se
Kehe jaate to hain, par dekhiye kya kehte hain
Dil mein aa jaye hai, hoti hai jo fursat ghash se
Aur phir kaun se nale ko rasaa kehte hain
Hai paray sarhad-e idraak sae apna masjood...
Qibla o ahl-e nazar qibla numa kehtay hain...
paay-e afgar pae jabb sae tujhay rehm aaya hai...
khar-e reh ko tairay ham mehr gaya kehtay hain...
ik shararr dill mayn hai, is say koyee ghabraye gaa kiya?...
aag matloob hai hamm ko, jo hawaa kehtay hain...
daikhiyae laati hai uss shoukh kee nikhwat kiya rang...
uss kee harr baat pae hamm 'naam-e khuda' kehtay hain...
wehshat o shayfta abb marsiha kehwain shayed...
marr gaya Ghalib-e aashufta nawaa,..... kehtay hain...
Labels: Mirza Ghalib